September 5, 2011 10:32:45 AM PDT
in the topic
Payar Tari Dosti Sa in the forum
Poetry
rait par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aaNkhain sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
ye zaroorii nahi har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehasaas main pattharaav bahut hain 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharokhon main sajaayaa na karo